Following poem is one of my decent attempts in Hindi poetry.
Hu main kaun, sochta hu main
karta hu kaam kya aur kyun, boojhta hu main..
Chaha kya maine aur chahunga main kya,
paaya jo chaha maine, usse bhi kya..
fans gaya hu kaise is jeevan kaal mien..?
mukti do is moh maaya k bandhan se,
nikalo mujhe is maayajaal se..
har jeev ko apne is aadi aur ant ka sampoorntah gyaan hai,
fir bhi ye adna sipahi laga pada hai, ladai mien is poore bramhaand se..
karm karo, fal ki chinta mat karo, Gita deti ye gyan hai..
kitni taakate hain, kitne naam hain? kya ye bas ishu, buddha, jaini, sai, allah aur bhagwaan hain?
Ye Adna sipahi sab janta hai.. sab insaan hain.. insaan insaan hain…
Aye adna sipahi sambhal ja tu, kuch ban ja tu..